Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai

Anwari Jahan Begum Hijab

sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai

Anwari Jahan Begum Hijab

MORE BYAnwari Jahan Begum Hijab

    saare kushtoñ se judā Dhang iztirāb-e-dil hai

    kyuuñ na ho bismil bhī to kis chulbule qātil hai

    chhup nahīñ saktā vo ḳhuun apne dil-e-bismil hai

    miT nahīñ saktā jo dhabba dāman-e-qātil hai

    imtihāñ madd-e-nazar kis manchale bismil hai

    mā'rka aarā jo yuuñ har naaz us qātil hai

    be-ijāzat uTh ke siina se lagā.e aap ko

    hausla itnā bhī ik armān vaale dil hai

    aap ko yaad aa ga.iiñ haiñ kis bazm-ārā.iyāñ

    hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil hai

    us taraf machlā huā hai vasl meñ vo chulbulā

    is taraf josh iztirāb-e-ārzū-e-dil hai

    vasl shab ḳhuun karnā ārzū-e-vasl

    o tamannāoñ ke dushman kaam ye qātil hai

    mārka-ārā.īyāñ haiñ aaj husn-o-ishq

    sāmnā is jalva-gah meñ dilrubā se dil hai

    apne aadhī raat ko aane baa.is kyuuñ bane

    vo kahīñ qaa.il bhī jazb-e-ulfat-e-kāmil hai

    maut aa.ī hai mujhe o bahr-e-ḳhūbī vasl meñ

    merā beḌā Dūbne vaalā lab-e-sāhil hai

    siina se siina milā denā to kuchh mushkil nahīñ

    yaar mushkil to tire dil se milānā dil hai

    shoḳhī-e-qātil meñ hai bismil rañg-e-iztirāb

    rañg bismil taḌap meñ shoḳhī-e-qātil hai

    sare kushton se juda Dhang iztirab-e-dil ka hai

    kyun na ho bismil bhi to kis chulbule qatil ka hai

    chhup nahin sakta wo KHun apne dil-e-bismil ka hai

    miT nahin sakta jo dhabba daman-e-qatil ka hai

    imtihan madd-e-nazar kis manchale bismil ka hai

    ma'rka aara jo yun har naz us qatil ka hai

    be-ijazat uTh ke sina se lagae aap ko

    hausla itna bhi ek arman wale dil ka hai

    aap ko yaad aa gain hain kis ki bazm-araiyan

    hazrat-e-dil kahiye to qasd aaj kis mahfil ka hai

    us taraf machla hua hai wasl mein wo chulbula

    is taraf josh iztirab-e-arzu-e-dil ka hai

    wasl ki shab KHun karna aarzu-e-wasl ka

    o tamannaon ke dushman kaam ye qatil ka hai

    marka-araiyan hain aaj husn-o-ishq ki

    samna is jalwa-gah mein dilruba se dil ka hai

    apne aadhi raat ko aane ka bais kyun bane

    wo kahin qail bhi jazb-e-ulfat-e-kaamil ka hai

    maut aai hai mujhe o bahr-e-KHubi wasl mein

    mera beDa Dubne wala lab-e-sahil ka hai

    sina se sina mila dena to kuchh mushkil nahin

    yar mushkil to tere dil se milana dil ka hai

    shoKHi-e-qatil mein hai bismil ka rang-e-iztirab

    rang bismil ki taDap mein shoKHi-e-qatil ka hai

    Source :
    • Book : Pathan Shayraat ka Tazkira (Pg. 120)
    • Author : Khan Mohammad Atif
    • Publication : Khan Mohammad Atif (1983)
    • Edition : 1983
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now