Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi

Farah iqbal

sare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi

Farah iqbal

MORE BYFarah iqbal

    saare manzar dilkash the har baat suhānī lagtī thī

    jīvan har shaam hameñ tab ek kahānī lagtī thī

    jis chāñd chehrā thā aur zulf sunahrī bādal

    mast havā āñchal thāme ek divānī lagtī thī

    apne ḳhvāb na.e lagte the aur phir un ke aage sab

    duniyā aur zamāne har baat purānī lagtī thī

    pyaar ke mausam ḳhushbū se ġhuncha ġhuncha mahkā thā

    mahkī mahkī duniyā saarī raat raanī lagtī thī

    lamhoñ ke rañgīn ġhubāre haath se chhūTe jaate the

    mausam dukh dard rut sab ānī-jānī lagtī thī

    qaus-e-quzah bārish meñ ye jazboñ muñh zor havā

    mauj uḌāte bal khāte dariyā ravānī lagtī thī

    ab dekheñ to duur kahīñ par yādoñ phulvārī meñ

    rañgoñ se bharpūr fazā thī jo lāfānī lagtī thī

    sare manzar dilkash the har baat suhani lagti thi

    jiwan ki har sham hamein tab ek kahani lagti thi

    jis ka chand sa chehra tha aur zulf sunahri baadal si

    mast hawa ka aanchal thame ek diwani lagti thi

    apne KHwab nae lagte the aur phir un ke aage sab

    duniya aur zamane ki har baat purani lagti thi

    pyar ke mausam ki KHushbu se ghuncha ghuncha mahka tha

    mahki mahki duniya sari raat ki rani lagti thi

    lamhon ke rangin ghubare hath se chhuTe jate the

    mausam dukh ka dard ki rut sab aani-jaani lagti thi

    qaus-e-quzah ki barish mein ye jazbon ki munh zor hawa

    mauj uDate bal khate dariya ki rawani lagti thi

    ab dekhen to dur kahin par yaadon ki phulwari mein

    rangon se bharpur faza thi jo lafani lagti thi

    Source :
    • Book : Koi bhi rut ho (Pg. 41)
    • Author : Farah iqbal
    • Publication : Alhamd Publications (2011)
    • Edition : 2011
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now