sare nahin junun mein aise paDe hue
saare nahīñ junūn meñ aise paḌe hue
ham log haiñ zamīn pe jaise paḌe hue
aap aa.e haiñ to uTThā huuñ itnā rahe ḳhayāl
ik umr ho ga.ī mujhe vaise paḌe hue
shohrat ne kar diyā mirā jiinā bhī ab muhāl
ye log mere pīchhe haiñ kaise paḌe hue
ḳhvāboñ kī rezgārī liye phir rahā huuñ meñ
haiñ merī jeb meñ yahī paise paḌe hue
mumkin agar ho koī kiyā jaa.e intizām
ḳhālī subū haiñ dosto mai se paḌe hue
koshish ke bāvajūd bhī khultā nahīñ ki haiñ
jazbāt lag ke kaun sī shai se paḌe hue
sare nahin junun mein aise paDe hue
hum log hain zamin pe jaise paDe hue
aap aae hain to uTTha hun itna rahe KHayal
ek umr ho gai mujhe waise paDe hue
shohrat ne kar diya mera jina bhi ab muhaal
ye log mere pichhe hain kaise paDe hue
KHwabon ki rezgari liye phir raha hun mein
hain meri jeb mein yahi paise paDe hue
mumkin agar ho koi kiya jae intizam
KHali subu hain dosto mai se paDe hue
koshish ke bawajud bhi khulta nahin ki hain
jazbaat lag ke kaun si shai se paDe hue
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.