sāregāmā pā dhānī
sur meñ le sāñseñ jaanī
nādānī sī nādānī
man kartā man-mānī
duniyā jānī-pahchānī
hastī apnī anjānī
ā.īne meñ ā.īna
hairānī sī hairānī
āñkhoñ se mat chhalakānā
ujḌe dil kī vīrānī
bādal pī ke aayā thā
purvā.ī bhī mastānī
ḳhud ko haare to jiite
raajā ke man ko raanī
ghar meñ bhī bas yūñhī huuñ
apnoñ meñ ik begānī
jiinā hai mar jaane ko
mushkil sī ik āsānī
ulTe mujh par hañstī hai
duniyā pāgal dīvānī
gumnāmoñ sī rahtī hai
'pinhāñ' jānī-pahchānī
saregama pa dhani
sur mein le sansen jaani
nadani si nadani
man karta man-mani
duniya jaani-pahchani
hasti apni anjaani
aaine mein aaina
hairani si hairani
aankhon se mat chhalakana
ujDe dil ki virani
baadal pi ke aaya tha
purwai bhi mastani
KHud ko haare to jite
raja ke man ko rani
ghar mein bhi bas yunhi hun
apnon mein ek begani
jina hai mar jaane ko
mushkil si ek aasani
ulTe mujh par hansti hai
duniya pagal diwani
gumnamon si rahti hai
'pinhan' jaani-pahchani
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.