sari baat na puchha kar
saarī baat na pūchhā kar
kuchh ḳhud bhī to samjhā kar
maiñ bichhne kī chiiz nahīñ
pāgal mujh ko oḌhā kar
us ne manzil pā lī hai
lekin mujh ko bhaTkā kar
log tujhe pahchāneñge
har din ek tamāshā kar
darvāze kuchh chhoTe haiñ
thoḌā jhuk kar niklā kar
pakne ko hai surḳh anaar
ziina dhīre utrā kar
duniyā gūñgī bahrī hai
jo muñh aa.e bolā kar
motī bhī mil jā.eñge
gahrā.ī meñ utrā kar
sari baat na puchha kar
kuchh KHud bhi to samjha kar
main bichhne ki chiz nahin
pagal mujh ko oDha kar
us ne manzil pa li hai
lekin mujh ko bhaTka kar
log tujhe pahchanenge
har din ek tamasha kar
darwaze kuchh chhoTe hain
thoDa jhuk kar nikla kar
pakne ko hai surKH anar
zina dhire utra kar
duniya gungi bahri hai
jo munh aae bola kar
moti bhi mil jaenge
gahrai mein utra kar
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.