sari bazm-e-talab tumhaari hai
saarī bazm-e-talab tumhārī hai
din tumhārā hai shab tumhārī hai
shāḳh-e-jāñ pe ye pyaar kī shabnam
pahle merī thī ab tumhārī hai
merī sāñsoñ meñ vasl kī ḳhushbū
jitnī hai sab kī sab tumhārī hai
ye jo ik be-ḳhudī kā dariyā hai
is meñ mauj-e-tarab tumhārī hai
sochtī huuñ ki ye badan kī mahak
kab nahīñ aur kab tumhārī hai
nashsha-e-chashm-o-lab tumhārā hai
shāḳh-e-bint-e-inab tumhārī hai
raushnī mahtāb se baḌh kar
dil meñ shāh-e-arab tumhārī hai
tum ne sochā hai ye kabhī 'afroz'
zindagī be-sabab tumhārī hai
sari bazm-e-talab tumhaari hai
din tumhaara hai shab tumhaari hai
shaKH-e-jaan pe ye pyar ki shabnam
pahle meri thi ab tumhaari hai
meri sanson mein wasl ki KHushbu
jitni hai sab ki sab tumhaari hai
ye jo ek be-KHudi ka dariya hai
is mein mauj-e-tarab tumhaari hai
sochti hun ki ye badan ki mahak
kab nahin aur kab tumhaari hai
nashsha-e-chashm-o-lab tumhaara hai
shaKH-e-bint-e-inab tumhaari hai
raushni mahtab se baDh kar
dil mein shah-e-arab tumhaari hai
tum ne socha hai ye kabhi 'afroz'
zindagi be-sabab tumhaari hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.