sari daulat tere qadmon mein paDi lagti hai
saarī daulat tire qadmoñ meñ paḌī lagtī hai
tū jahāñ hotā hai qismat bhī gaḌī lagtī hai
aise royā thā bichhaḌte hue vo shaḳhs kabhī
jaise sāvan ke mahīne meñ jhaḌī lagtī hai
ham bhī apne ko badal Dāleñge rafta rafta
abhī duniyā hameñ jannat se baḌī lagtī hai
ḳhushnumā lagte haiñ dil par tire zaḳhmoñ ke nishāñ
beach dīvār meñ jis tarah ghaḌī lagtī hai
tū mire saath agar hai to añdherā kaisā
raat ḳhud chāñd sitāroñ se jaḌī lagtī hai
maiñ rahūñ yā na rahūñ naam rahegā merā
zindagī umr meñ kuchh mujh se baḌī lagtī hai
sari daulat tere qadmon mein paDi lagti hai
tu jahan hota hai qismat bhi gaDi lagti hai
aise roya tha bichhaDte hue wo shaKHs kabhi
jaise sawan ke mahine mein jhaDi lagti hai
hum bhi apne ko badal Dalenge rafta rafta
abhi duniya hamein jannat se baDi lagti hai
KHushnuma lagte hain dil par tere zaKHmon ke nishan
beach diwar mein jis tarah ghaDi lagti hai
tu mere sath agar hai to andhera kaisa
raat KHud chand sitaron se jaDi lagti hai
main rahun ya na rahun nam rahega mera
zindagi umr mein kuchh mujh se baDi lagti hai
- Book : Shadaba (Pg. 43)
- Author : Munavar Rana
- Publication : Maktaba Al-faheem (2012)
- Edition : 2012
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.