sari duniya ko bhulane lag jaen
saarī duniyā ko bhulāne lag jaa.eñ
ḳhud ko taslīm karāne lag jaa.eñ
apnā kyā hai ki tirī mahfil meñ
aane lag jaa.eñ ki jaane lag jaa.eñ
apnī miTTī ko badan karnā hai
chaak par ḳhud ko chaḌhāne lag jaa.eñ
niiñd āñkhoñ se huī kosoñ duur
mere sab ḳhvāb sir.hāne lag jaa.eñ
tum bhī mar jaao kisī din mirī jaañ
ham bhī ik roz Thikāne lag jaa.eñ
sari duniya ko bhulane lag jaen
KHud ko taslim karane lag jaen
apna kya hai ki teri mahfil mein
aane lag jaen ki jaane lag jaen
apni miTTi ko badan karna hai
chaak par KHud ko chaDhane lag jaen
nind aankhon se hui koson dur
mere sab KHwab sirhane lag jaen
tum bhi mar jao kisi din meri jaan
hum bhi ek roz Thikane lag jaen
- Book : Sabhi Rang Tumhare Nikle (Pg. 85)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2017)
- Edition : First
- Book : Wahima Vajood Ka (Pg. 83)
- Author : Salim Saleem
- Publication : Rekhta Publications (2022)
- Edition : 2nd
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.