sari duniya se dosti kar li
saarī duniyā se dostī kar lī
yuuñ basar ham ne zindagī kar lī
jis qadar jis kisī ne ḳhvāhish kī
us qadar aap hī kamī kar lī
aur to bas nahīñ chalā apnā
apne hisse meñ bebasī kar lī
jaisā jis ne banāyā ban baiThe
shakl jaisī bhī jo milī kar lī
jhūTe aañsū bahānā siikh liyā
muskurāhaT bhī kāġhazī kar lī
aise āsān kar liyā ḳhud ko
ek mushkil pe dūsrī kar lī
tum to dariyā-mizāj the 'bābar'
tum ne phir kaise ḳhud-kushī kar lī
sari duniya se dosti kar li
yun basar hum ne zindagi kar li
jis qadar jis kisi ne KHwahish ki
us qadar aap hi kami kar li
aur to bas nahin chala apna
apne hisse mein bebasi kar li
jaisa jis ne banaya ban baiThe
shakl jaisi bhi jo mili kar li
jhuTe aansu bahana sikh liya
muskurahaT bhi kaghazi kar li
aise aasan kar liya KHud ko
ek mushkil pe dusri kar li
tum to dariya-mizaj the 'babar'
tum ne phir kaise KHud-kushi kar li
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.