sari duniya se nirali hai ghazal ki duniya
saarī duniyā se nirālī hai ġhazal kī duniyā
ham ne palkoñ pe sajā lī hai ġhazal kī duniyā
is ke har lafz meñ poshīda hai shā'ir kā lahū
kaun kahtā hai ḳhayālī hai ġhazal kī duniyā
phir siyah raat se ā.eñge mohabbat ke payām
us ne zulfoñ meñ sañbhālī hai ġhazal kī duniyā
chāñd tāroñ kī tarah ham ne bhī aa kar dekho
kaise har samt ujālī hai ġhazal kī duniyā
rāsta takne lagā pyaar se merā koī
jab se 'irfāñ' ne basā lī hai ġhazal kī duniyā
sari duniya se nirali hai ghazal ki duniya
hum ne palkon pe saja li hai ghazal ki duniya
is ke har lafz mein poshida hai sha'ir ka lahu
kaun kahta hai KHayali hai ghazal ki duniya
phir siyah raat se aaenge mohabbat ke payam
us ne zulfon mein sanbhaali hai ghazal ki duniya
chand taron ki tarah hum ne bhi aa kar dekho
kaise har samt ujali hai ghazal ki duniya
rasta takne laga pyar se mera koi
jab se 'irfan' ne basa li hai ghazal ki duniya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.