Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf

Akhtar Shumar

sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf

Akhtar Shumar

MORE BYAkhtar Shumar

    saarī ḳhilqat ek taraf thī aur divāna ek taraf

    tere liye maiñ paañv pe apne jam ke khaḌā thā ek taraf

    ek ik kar ke har manzil samt bhuul rahā thā maiñ

    dhīre dhīre khīñch rahā thā terā rishta ek taraf

    donoñ se maiñ bach kar tere ḳhvāb-o-ḳhayāl se guzar gayā

    dil sahrā ek taraf thā aañkh dariyā ek taraf

    aage aage bhaag rahā huuñ ab vo mere pīchhe hai

    ik din terī chaah meñ thī maiñ ne duniyā ek taraf

    dūsrī jānib ik bādal ne baḌh kar Dhāñp liyā thā chāñd

    aur āñkhoñ meñ Duub rahā thā dil sitārā ek taraf

    vaqt-juārī baiThak meñ jo aayā so haar gayā

    'aḳhtar' ik din maiñ bhī dāman jhaaḌ ke niklā ek taraf

    sari KHilqat ek taraf thi aur diwana ek taraf

    tere liye main panw pe apne jam ke khaDa tha ek taraf

    ek ek kar ke har manzil ki samt hi bhul raha tha main

    dhire dhire khinch raha tha tera rishta ek taraf

    donon se main bach kar tere KHwab-o-KHayal se guzar gaya

    dil ka sahra ek taraf tha aankh ka dariya ek taraf

    aage aage bhag raha hun ab wo mere pichhe hai

    ek din teri chah mein ki thi main ne duniya ek taraf

    dusri jaanib ek baadal ne baDh kar Dhanp liya tha chand

    aur aankhon mein Dub raha tha dil ka sitara ek taraf

    waqt-juari ki baiThak mein jo aaya so haar gaya

    'aKHtar' ek din main bhi daman jhaD ke nikla ek taraf

    Source :
    • Book : hamen terii tamnnaa hai (Pg. 60)
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Rekhta Gujarati Utsav I Vadodara - 5th Jan 25 I Mumbai - 11th Jan 25 I Bhavnagar - 19th Jan 25

    Register for free
    Speak Now