sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge
saarī raat kahānī sun ke ham to lab na kholeñge
vaise chhup ke hañs bhī leñge vaise tanhā ro leñge
ujḌe dil kī bastī vaale itne ġhāfil hote haiñ
kho bhī ga.e to is mele meñ kisī ke sañg bhī ho leñge
bādal garje bijlī kaḌke yā sāvan bhādoñ barseñ
ham saḌkoñ pe rahne vaale chuppī saadh ke so leñge
yaaro tum ye fikr na karnā kis ke sar ilzām lage
ham to apne ḳhuun se apne donoñ haath bhigo leñge
jab bhī dard se dil taḌpegā TukḌe TukḌe hogī ruuh
kisī añdhere kamre meñ ham dil meñ dard samo leñge
ham ne saarī umr akele maut kā rasta dekhā hai
jab bhī aa.ī kisī bhī chaukhaT par sar rakh ke so leñge
chupke chupke kafan lapeTe nikleñge jab ham ghar se
laakh bulāoge ro ro kar hargiz aañkh na kholeñge
sari raat kahani sun ke hum to lab na kholenge
waise chhup ke hans bhi lenge waise tanha ro lenge
ujDe dil ki basti wale itne ghafil hote hain
kho bhi gae to is mele mein kisi ke sang bhi ho lenge
baadal garje bijli kaDke ya sawan bhadon barsen
hum saDkon pe rahne wale chuppi sadh ke so lenge
yaro tum ye fikr na karna kis ke sar ilzam lage
hum to apne KHun se apne donon hath bhigo lenge
jab bhi dard se dil taDpega TukDe TukDe hogi ruh
kisi andhere kamre mein hum dil mein dard samo lenge
hum ne sari umr akele maut ka rasta dekha hai
jab bhi aai kisi bhi chaukhaT par sar rakh ke so lenge
chupke chupke kafan lapeTe niklenge jab hum ghar se
lakh bulaoge ro ro kar hargiz aankh na kholenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.