sat samundar par gaya wo
saat samundar paar gayā vo
jiite jī hī maar gayā vo
daanā thā vo nādāñ the ham
jiite haiñ ham haar gayā vo
sarhad ke is paar rahā maiñ
sarhad ke us paar gayā vo
suunā suunā āñgan hai ab
ḳhushiyoñ kā sansār gayā vo
dīvāna ban kar aaya thā
ho kar kuchh hushiyār gayā vo
apnī kahtā merī suntā
chup sādhe kis paar gayā vo
'imrān' us ko jītnā kab thā
apnā dil hī haar gayā vo
sat samundar par gaya wo
jite ji hi mar gaya wo
dana tha wo nadan the hum
jite hain hum haar gaya wo
sarhad ke is par raha main
sarhad ke us par gaya wo
suna suna aangan hai ab
KHushiyon ka sansar gaya wo
diwana ban kar aaya tha
ho kar kuchh hushiyar gaya wo
apni kahta meri sunta
chup sadhe kis par gaya wo
'imran' us ko jitna kab tha
apna dil hi haar gaya wo
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.