sat suron ka bahta dariya tere nam
saat suroñ kā bahtā dariyā tere naam
har sur meñ hai rañg-dhanak kā tere naam
jañgal jañgal uḌne vaale sab mausam
aur huā hai sabz dupaTTa tere naam
hijr kī shaam akelī raat ke ḳhālī dar
sub.h-e-firāq kā zard ujālā tere naam
tere binā jo umr batā.ī biit ga.ī
ab is umr kā baaqī hissa tere naam
in shā.ir ā.ankhoñ ne jitne rañg chune
un kā aks aur merā chehra tere naam
dukh ke gahre niile samundar meñ 'ḳhāvar'
us kī āñkheñ ek jazīra tere naam
sat suron ka bahta dariya tere nam
har sur mein hai rang-dhanak ka tere nam
jangal jangal uDne wale sab mausam
aur hua hai sabz dupaTTa tere nam
hijr ki sham akeli raat ke KHali dar
subh-e-firaq ka zard ujala tere nam
tere bina jo umr batai bit gai
ab is umr ka baqi hissa tere nam
in shair aaankhon ne jitne rang chune
un ka aks aur mera chehra tere nam
dukh ke gahre nile samundar mein 'KHawar'
us ki aankhen ek jazira tere nam
- Book : Mujalla Dastavez (Pg. 612)
- Author : Aziz Nabeel
- Publication : Edarah Dastavez (2013-14)
- Edition : 2013-14
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.