sath ab un ke sham-o-sahar jaenge
saath ab un ke shām-o-sahar jā.eñge
vo akele nahīñ apne ghar jā.eñge
ab to Dasne lage haiñ añdhere mujhe
raushnī meñ jo nikle to mar jā.eñge
ashk yuuñ to kabhī mere bahte nahīñ
dariyā dil ke sabhī mere bhar jā.eñge
tujh ko to 'āshiqī kā sahārā bhī hai
jin kā kuchh bhī nahīñ vo bikhar jā.eñge
aap to aaj tak itnī dahshat meñ haiñ
ḳhud bacheñge tabhī to udhar jā.eñge
aa.ina un ko dikhtā nahīñ ab kahīñ
'aks se apne ḳhud vo sañvar jā.eñge
maut kā Dar kahāñ maut se kam hai ab
aap zinda hī kab haiñ jo mar jā.eñge
un ke jaane kā manzar tamāsha nahīñ
sochne se mire kyā Thahar jā.eñge
tanhā ho kar bhī maiñ ek lashkar meñ huuñ
jin kā koī nahīñ vo to Dar jā.eñge
sath ab un ke sham-o-sahar jaenge
wo akele nahin apne ghar jaenge
ab to Dasne lage hain andhere mujhe
raushni mein jo nikle to mar jaenge
ashk yun to kabhi mere bahte nahin
dariya dil ke sabhi mere bhar jaenge
tujh ko to 'ashiqi ka sahaara bhi hai
jin ka kuchh bhi nahin wo bikhar jaenge
aap to aaj tak itni dahshat mein hain
KHud bachenge tabhi to udhar jaenge
aaina un ko dikhta nahin ab kahin
'aks se apne KHud wo sanwar jaenge
maut ka Dar kahan maut se kam hai ab
aap zinda hi kab hain jo mar jaenge
un ke jaane ka manzar tamasha nahin
sochne se mere kya Thahar jaenge
tanha ho kar bhi main ek lashkar mein hun
jin ka koi nahin wo to Dar jaenge
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.