sath apne log kuchh aise chale
saath apne log kuchh aise chale
dil ko apne lag rahe the sab bhale
nuur āñkhoñ meñ zahānat kā liye
koī ab shaffāf sochoñ meñ Dhale
ab ki lab par hai duā us ke liye
mere dil meñ jis kā ik ik ġham pale
jab bhī guzrūñ zindagī ke karb se
sham.a mere zehn meñ terī jale
raushnī hī zindagī hai ai 'sadaf'
dekhnā mat soch kā sūraj Dhale
sath apne log kuchh aise chale
dil ko apne lag rahe the sab bhale
nur aankhon mein zahanat ka liye
koi ab shaffaf sochon mein Dhale
ab ki lab par hai dua us ke liye
mere dil mein jis ka ek ek gham pale
jab bhi guzrun zindagi ke karb se
shama mere zehn mein teri jale
raushni hi zindagi hai ai 'sadaf'
dekhna mat soch ka suraj Dhale
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.