sath chal paDi tanha sath rah gai tanha
saath chal paḌī tanhā saath rah ga.ī tanhā
kitnī bā-vafā niklī merī bebasī tanhā
vaqt phir mehrbāñ hai kaT ga.e sabhī sāthī
zindagī kī rāhoñ meñ rah gayā koī tanhā
aap kī navāzish hai aap kī tavajjoh se
sargirāñ hai barsoñ se ek ajnabī tanhā
ye junūñ kī pābandī ye ḳhirad kī ta.azīreñ
kis tarah nibāhegī ek zindagī tanhā
har taraf musallat hai ik muhīb sannāTā
haañ magar dhaḌaktā hai dil kabhī kabhī tanhā
'anjum'-e-shikasta ne mai-kade se kyā paayā
ek jaam TuuTā sā ek tishnagī tanhā
sath chal paDi tanha sath rah gai tanha
kitni ba-wafa nikli meri bebasi tanha
waqt phir mehrban hai kaT gae sabhi sathi
zindagi ki rahon mein rah gaya koi tanha
aap ki nawazish hai aap ki tawajjoh se
sargiran hai barson se ek ajnabi tanha
ye junun ki pabandi ye KHirad ki taziren
kis tarah nibahegi ek zindagi tanha
har taraf musallat hai ek muhib sannaTa
han magar dhaDakta hai dil kabhi kabhi tanha
'anjum'-e-shikasta ne mai-kade se kya paya
ek jam TuTa sa ek tishnagi tanha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.