Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath chalte ja rahe hain pas aa sakte nahin

Bashir Badr

sath chalte ja rahe hain pas aa sakte nahin

Bashir Badr

MORE BYBashir Badr

    saath chalte rahe haiñ paas aa sakte nahīñ

    ik nadī ke do kināroñ ko milā sakte nahīñ

    dene vaale ne diyā sab kuchh 'ajab andāz se

    sāmne duniyā paḌī hai aur uThā sakte nahīñ

    us bhī majbūriyāñ haiñ merī bhī majbūriyāñ

    roz milte haiñ magar ghar meñ batā sakte nahīñ

    kis ne kis naam īñToñ par likhā hai ḳhuun se

    ishtihāroñ se ye dīvāreñ chhupā sakte nahīñ

    raaz jab siine se bāhar ho gayā apnā kahāñ

    ret par bikhre hue aañsū uThā sakte nahīñ

    aadmī kyā hai guzarte vaqt tasvīr hai

    jaane vaale ko sadā de kar bulā sakte nahīñ

    shahr meñ rahte hue ham ko zamāna ho gayā

    kaun rahtā hai kahāñ kuchh bhī batā sakte nahīñ

    us yādoñ se mahakne lagtā hai saarā badan

    pyaar ḳhushbū ko siine meñ chhupā sakte nahīñ

    pattharoñ ke bartanoñ meñ āñsuoñ ko kyā rakheñ

    phuul ko lafzoñ ke gamloñ meñ khilā sakte nahīñ

    sath chalte ja rahe hain pas aa sakte nahin

    ek nadi ke do kinaron ko mila sakte nahin

    dene wale ne diya sab kuchh 'ajab andaz se

    samne duniya paDi hai aur uTha sakte nahin

    us ki bhi majburiyan hain meri bhi majburiyan

    roz milte hain magar ghar mein bata sakte nahin

    kis ne kis ka nam inTon par likha hai KHun se

    ishtihaaron se ye diwaren chhupa sakte nahin

    raaz jab sine se bahar ho gaya apna kahan

    ret par bikhre hue aansu uTha sakte nahin

    aadmi kya hai guzarte waqt ki taswir hai

    jaane wale ko sada de kar bula sakte nahin

    shahr mein rahte hue hum ko zamana ho gaya

    kaun rahta hai kahan kuchh bhi bata sakte nahin

    us ki yaadon se mahakne lagta hai sara badan

    pyar ki KHushbu ko sine mein chhupa sakte nahin

    pattharon ke bartanon mein aansuon ko kya rakhen

    phul ko lafzon ke gamlon mein khila sakte nahin

    Source :
    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now