sath hum ko zamane ke chalna paDa
saath ham ko zamāne ke chalnā paḌā
sab badalne lage to badalnā paḌā
peT kī aag jab bujh nahīñ paa.ī to
jism ko bhaTTiyoñ meñ pighalnā paḌā
jab añdheroñ kī sāzish ghanī ho ga.ī
sūrya ko raat meñ phir nikalnā paḌā
vaqt par us ko haañ bas nahīñ kah sakā
zindagī bhar mujhe haath malnā paḌā
dūsroñ ke liye jo haiñ chhāyā bane
ban ke chhat dhuup meñ un ko jalnā paḌā
sath hum ko zamane ke chalna paDa
sab badalne lage to badalna paDa
peT ki aag jab bujh nahin pai to
jism ko bhaTTiyon mein pighalna paDa
jab andheron ki sazish ghani ho gai
surya ko raat mein phir nikalna paDa
waqt par us ko han bas nahin kah saka
zindagi bhar mujhe hath malna paDa
dusron ke liye jo hain chhaya bane
ban ke chhat dhup mein un ko jalna paDa
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.