sath kashti ke achanak baadban bhi jal uTha
saath kashtī ke achānak bādbāñ bhī jal uThā
pāniyoñ meñ Dūbtā saaya makāñ bhī jal uThā
jis parinde ne kiyā ta.amīr de kar ḳhūn-e-dil
bijliyoñ kī zad meñ us kā āshiyāñ bhī jal uThā
merā chehra māhtābī dekh kar sūraj jalā
aur had hai chāñd jaisā rāz-dāñ bhī jal uThā
sath kashti ke achanak baadban bhi jal uTha
paniyon mein Dubta saya makan bhi jal uTha
jis parinde ne kiya tamir de kar KHun-e-dil
bijliyon ki zad mein us ka aashiyan bhi jal uTha
mera chehra mahtabi dekh kar suraj jala
aur had hai chand jaisa raaz-dan bhi jal uTha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.