saath lagtā hai sang lagtā hai
dil sadā mahv-e-jang lagtā hai
ronā paḌtā hai is liye mujh ko
merī āñkhoñ ko zang lagtā hai
qais ne kar liyā guzāra magar
mujh ko ye sahrā tang lagtā hai
roz ham ḳhud se haar jaate haiñ
roz maidān-e-jang lagtā hai
merī āñkhoñ ko to ye qaus-e-quzah
terī chunrī kā rang lagtā hai
ye nasha hai tumhārī āñkhoñ kā
phir bhī logoñ ko bhang lagtā hai
sath lagta hai sang lagta hai
dil sada mahw-e-jang lagta hai
rona paDta hai is liye mujh ko
meri aankhon ko zang lagta hai
qais ne kar liya guzara magar
mujh ko ye sahra tang lagta hai
roz hum KHud se haar jate hain
roz maidan-e-jang lagta hai
meri aankhon ko to ye qaus-e-quzah
teri chunri ka rang lagta hai
ye nasha hai tumhaari aankhon ka
phir bhi logon ko bhang lagta hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.