sath le kar apni barbaadi ke afsane gae
saath le kar apnī barbādī ke afsāne ga.e
ābrū-e-anjuman the jo vo dīvāne ga.e
ibtidā ye thī ki duniyā bhar kī nazreñ ham pe thiiñ
intihā ye hai ki ḳhud se bhī na pahchāne ga.e
terī fayyāzī se kab inkār hai saaqī magar
aise mai-kash bhī haiñ kuchh jin tak na paimāne ga.e
mahfileñ mahkī huī thiiñ jin se vo gul kyā hue
shāyad ab vo gosha-e-turbat ko mahkāne ga.e
dūsroñ ke ġham meñ rotī thiiñ jo sham.eñ bujh ga.iiñ
aag meñ ġhairoñ kī jalte the jo parvāne ga.e
tishnagī se zarf ko ai sāqi-e-mahfil na tol
uTh ga.e to umr-bhar ko phir ye dīvāne ga.e
mashvare to aql bhī detī rahī 'rāhī' magar
dil ne jo farmā.e the vo faisle maane ga.e
sath le kar apni barbaadi ke afsane gae
aabru-e-anjuman the jo wo diwane gae
ibtida ye thi ki duniya bhar ki nazren hum pe thin
intiha ye hai ki KHud se bhi na pahchane gae
teri fayyazi se kab inkar hai saqi magar
aise mai-kash bhi hain kuchh jin tak na paimane gae
mahfilen mahki hui thin jin se wo gul kya hue
shayad ab wo gosha-e-turbat ko mahkane gae
dusron ke gham mein roti thin jo shamen bujh gain
aag mein ghairon ki jalte the jo parwane gae
tishnagi se zarf ko ai saqi-e-mahfil na tol
uTh gae to umr-bhar ko phir ye diwane gae
mashware to aql bhi deti rahi 'rahi' magar
dil ne jo farmae the wo faisle mane gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.