sath mausam ke hawa ko bhi machal jaana tha
sath mausam ke hawa ko bhi machal jaana tha
Chitra Bhardwaj suman
MORE BYChitra Bhardwaj suman
saath mausam ke havā ko bhī machal jaanā thā
dhuup ko shams kī bāhoñ meñ pighal jaanā thā
shaam se sub.h talak dil thā tirī sarhad meñ
aise hālāt meñ to tiir ko chal jaanā thā
aao ab dekho dhuāñ hote hue chhappar ko
yā to chingārī ke lagte hī sambhal jaanā thā
yaad yuuñ bhī nahīñ rakhne the hameñ kuchh rishte
baa'd ik vaqt ke matlab hī badal jaanā thā
us kī jānib se hī koshish meñ kamī thī varna
ab ke bhī tark-e-ta.alluq use khal jaanā thā
chaak ke haath khaḌe karne se pahle hī 'suman'
terī miTTī ko kisī shakl meñ Dhal jaanā thā
sath mausam ke hawa ko bhi machal jaana tha
dhup ko shams ki bahon mein pighal jaana tha
sham se subh talak dil tha teri sarhad mein
aise haalat mein to tir ko chal jaana tha
aao ab dekho dhuan hote hue chhappar ko
ya to chingari ke lagte hi sambhal jaana tha
yaad yun bhi nahin rakhne the hamein kuchh rishte
ba'd ek waqt ke matlab hi badal jaana tha
us ki jaanib se hi koshish mein kami thi warna
ab ke bhi tark-e-talluq use khal jaana tha
chaak ke hath khaDe karne se pahle hi 'suman'
teri miTTi ko kisi shakl mein Dhal jaana tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.