sath mehr-o-KHulus-o-ulfat hai
sath mehr-o-KHulus-o-ulfat hai
Mohammad Abdul Kabeer Hanfi
MORE BYMohammad Abdul Kabeer Hanfi
saath mehr-o-ḳhulūs-o-ulfat hai
mere aslāf kī amānat hai
ek ik lamha besh-qīmat hai
sirf ehsās kī zarūrat hai
beTiyoñ kā vajūd rahmat hai
maañ ke qadmoñ ke nīche jannat hai
Daalī Daalī ḳhizāñ-rasīda hai
be samar naḳhl-e-ādamiyyat hai
ek jānib tazād-e-qaul-o-amal
ik taraf mansab-e-shahādat hai
har zamāna mirā vajūd-shanās
har sadī par mirī hukūmat hai
muttahid ho to saañs loge phir
tafraqa zahr hai halākat hai
tum jo 'hanafī' ḳhudā ko bhuul ga.e
bas usī kā vabāl zillat hai
sath mehr-o-KHulus-o-ulfat hai
mere aslaf ki amanat hai
ek ek lamha besh-qimat hai
sirf ehsas ki zarurat hai
beTiyon ka wajud rahmat hai
man ke qadmon ke niche jannat hai
Dali Dali KHizan-rasida hai
be samar naKHl-e-adamiyyat hai
ek jaanib tazad-e-qaul-o-amal
ek taraf mansab-e-shahadat hai
har zamana mera wajud-shanas
har sadi par meri hukumat hai
muttahid ho to sans loge phir
tafraqa zahr hai halakat hai
tum jo 'hanafi' KHuda ko bhul gae
bas usi ka wabaal zillat hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.