sath mein chand wo hamara tha
saath meñ chāñd vo hamārā thā
din meñ bhī raat kā nazārā thā
bazm meñ dil sabhī ke baiTh ga.e
us ne hañs kar mujhe pukārā thā
ab jo chāhe to tū Dubo de mujhe
paar bhī tū ne hī utārā thā
paañv ke nīche thī dabī duniyā
muTThiyoñ meñ har ik sitāra thā
ek vo hī to thā mirā hamdam
merā apnī taraf ishāra thā
aur phir us se dostī kar lī
'ishq mujh ko nahīñ gavāra thā
sath mein chand wo hamara tha
din mein bhi raat ka nazara tha
bazm mein dil sabhi ke baiTh gae
us ne hans kar mujhe pukara tha
ab jo chahe to tu Dubo de mujhe
par bhi tu ne hi utara tha
panw ke niche thi dabi duniya
muTThiyon mein har ek sitara tha
ek wo hi to tha mera hamdam
mera apni taraf ishaara tha
aur phir us se dosti kar li
'ishq mujh ko nahin gawara tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.