sath mere apne sae ke siwa koi na tha
saath mere apne saa.e ke sivā koī na thā
ajnabī the sab jahāñ meñ āshnā koī na thā
saare rishte ret kī dīvār the mausam ke phuul
baat kā sachchā yahāñ dil kā kharā koī na thā
jin ke dhoke the misālī jin kī bāteñ neshtar
sirf ham mohsin the un ke dūsrā koī na thā
zindagī kī dauḌ meñ har shaḳhs thā be-āsrā
shor-e-be-hañgām meñ naġhma-sarā koī na thā
ik shajar aisā bhī rāh-e-zīst meñ 'sarvat' milā
phuul to shāḳhoñ pe the pattā harā koī na thā
sath mere apne sae ke siwa koi na tha
ajnabi the sab jahan mein aashna koi na tha
sare rishte ret ki diwar the mausam ke phul
baat ka sachcha yahan dil ka khara koi na tha
jin ke dhoke the misali jin ki baaten neshtar
sirf hum mohsin the un ke dusra koi na tha
zindagi ki dauD mein har shaKHs tha be-asra
shor-e-be-hangam mein naghma-sara koi na tha
ek shajar aisa bhi rah-e-zist mein 'sarwat' mila
phul to shaKHon pe the patta hara koi na tha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.