sath rah kar bhi jaanta kahan hai
saath rah kar bhī jāntā kahāñ hai
vo mirā hai par āshnā kahāñ hai
ye tamannā hai do ghaḌī jī luuñ
ziist kā lekin rāsta kahāñ hai
mujh meñ jiitā hai har nafas lekin
maiñ usī kā huuñ māntā kahāñ hai
jo duā meñ ibādatoñ meñ rahā
vo mohabbat kā devtā kahāñ hai
choT gahrī lagī hai dil pe koī
kisī se us kā vāsta kahāñ hai
saath ḳhud ke huuñ ajnabī kī tarah
merā mujh se hī silsila kahāñ hai
sath rah kar bhi jaanta kahan hai
wo mera hai par aashna kahan hai
ye tamanna hai do ghaDi ji lun
zist ka lekin rasta kahan hai
mujh mein jita hai har nafas lekin
main usi ka hun manta kahan hai
jo dua mein ibaadaton mein raha
wo mohabbat ka dewta kahan hai
choT gahri lagi hai dil pe koi
kisi se us ka wasta kahan hai
sath KHud ke hun ajnabi ki tarah
mera mujh se hi silsila kahan hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.