sath rah mere na judai de
saath rah mere na judā.ī de
tū mujhe har jagah dikhā.ī de
yā to rakh le mujhe tū paas apne
maañg le jaan yā ḳhudā.ī de
aañkh banñe lagī hai til terā
dil kī dhaḌkan meñ bhī sunā.ī de
maiñ akelā huuñ aur muḳhālif log
aa palaT aa mirī safā.ī de
mere hoñToñ ke khol de taale
lab-kushā merī lab-kushā.ī de
log tamsīl yuuñ kareñ 'mahtāb'
pārsāoñ sī pārsā.ī de
sath rah mere na judai de
tu mujhe har jagah dikhai de
ya to rakh le mujhe tu pas apne
mang le jaan ya KHudai de
aankh banne lagi hai til tera
dil ki dhaDkan mein bhi sunai de
main akela hun aur muKHalif log
aa palaT aa meri safai de
mere honTon ke khol de tale
lab-kusha meri lab-kushai de
log tamsil yun karen 'mahtab'
parsaon si parsai de
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.