sath tera agar nahin hota
saath terā agar nahīñ hotā
ham se itnā safar nahīñ hotā
dhuup hai raah meñ usūloñ kī
is meñ koī shajar nahīñ hotā
log kyā kyā ḳharīd lete haiñ
bas hamīñ se guzar nahīñ hotā
sāmnā zindagī se karne kā
har kisī meñ hunar nahīñ hotā
ab to aadī se ho ga.e haiñ ham
hādsoñ kā asar nahīñ hotā
dil yuuñ lagte qarīb haiñ lekin
rāsta muḳhtasar nahīñ hotā
gar vafā hī milī jo hotī to
aadmī dar-ba-dar nahīñ hotā
sath tera agar nahin hota
hum se itna safar nahin hota
dhup hai rah mein usulon ki
is mein koi shajar nahin hota
log kya kya KHarid lete hain
bas hamin se guzar nahin hota
samna zindagi se karne ka
har kisi mein hunar nahin hota
ab to aadi se ho gae hain hum
hadson ka asar nahin hota
dil yun lagte qarib hain lekin
rasta muKHtasar nahin hota
gar wafa hi mili jo hoti to
aadmi dar-ba-dar nahin hota
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.