Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

sath tera mera ghar ho to maza aa jae

Shaista Mahjabeen

sath tera mera ghar ho to maza aa jae

Shaista Mahjabeen

MORE BYShaista Mahjabeen

    saath terā mirā ghar ho to maza aa jaa.e

    phir vahāñ bāġh-o-shajar ho to maza aa jaa.e

    naukrī ke liye phirte haiñ hazāroñ dar dar

    haath meñ koī hunar ho to maza aa jaa.e

    tum rakho sab pe nazar mere sivā kyuuñ saaqī

    sirf mujh par nazar ho to maza aa jaa.e

    tujh ko aatā hai nazar bas mirī shohrat ḳhayāl

    soz-e-dil bhī ḳhabar ho to maza aa jaa.e

    sath tera mera ghar ho to maza aa jae

    phir wahan bagh-o-shajar ho to maza aa jae

    naukri ke liye phirte hain hazaron dar dar

    hath mein koi hunar ho to maza aa jae

    tum rakho sab pe nazar mere siwa kyun saqi

    sirf mujh par hi nazar ho to maza aa jae

    tujh ko aata hai nazar bas meri shohrat ka KHayal

    soz-e-dil ki bhi KHabar ho to maza aa jae

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY
    Speak Now