satwen number ki surat wo bhi pur-asrar tha
sātveñ number kī sūrat vo bhī pur-asrār thā
maiñ sifar kī tarah sab kuchh thā magar be-kār thā
har-nafas ab tak mire dil kī ajab hālat rahī
maut se Dartā bhī thā jiine se bhī bezār thā
ik shanāsā nā-shanāsā.ī thī mere har taraf
merā ghar mere liye to ghar na thā bāzār thā
merī barbādī kā zāmin dūsrā koī nahīñ
maiñ ki apne vāhimoñ kā aap zimmedār thā
jism hī kyā ruuh tak zaḳhmoñ se chhalnī ho ga.ī
saañs kā rishta na thā chaltī huī talvār thā
ab bhalā hāsil bhī kyā hogā ba-juz sharmindagī
kyā kahūñ 'shādāb' kis se barsar-e-paikār thā
satwen number ki surat wo bhi pur-asrar tha
main sifar ki tarah sab kuchh tha magar be-kar tha
har-nafas ab tak mere dil ki ajab haalat rahi
maut se Darta bhi tha jine se bhi bezar tha
ek shanasa na-shanasai thi mere har taraf
mera ghar mere liye to ghar na tha bazar tha
meri barbaadi ka zamin dusra koi nahin
main ki apne wahimon ka aap zimmedar tha
jism hi kya ruh tak zaKHmon se chhalni ho gai
sans ka rishta na tha chalti hui talwar tha
ab bhala hasil bhi kya hoga ba-juz sharmindagi
kya kahun 'shadab' kis se barsar-e-paikar tha
- Book : 1971 ki Muntakhab Shayri (Pg. 100)
- Author : Kumar Pashi, Prem Gopal Mittal
- Publication : P.K. Publishers, New Delhi (1972)
- Edition : 1972
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.