sawan aaya chhane lage ghor ghan ghor baadal
sāvan aayā chhāne lage ghor ghan ghor bādal
karte haiñ phir dil ko pareshān chit chor bādal
jangal jangal sankī havā baañs ban jhuum uThe
nāche kuude garje machāne lage shor bādal
Dholak naqqāre bāñsurī jhāñjhneñ baj rahī haiñ
us par ye sat-rañgī dhanak ban ga.e mor bādal
bijlī kā pahlū gudgudāyā bharīñ chuTkiyāñ bhī
jhūmā jhaTkī kar ke dikhāne lage zor bādal
dil meñ dukh āñkhoñ meñ namī āsmāñ par ghaTā.eñ
andar bāhar is or us or har or bādal
sawan aaya chhane lage ghor ghan ghor baadal
karte hain phir dil ko pareshan chit chor baadal
jangal jangal sanki hawa bans ban jhum uThe
nache kude garje machane lage shor baadal
Dholak naqqare bansuri jhanjhnen baj rahi hain
us par ye sat-rangi dhanak ban gae mor baadal
bijli ka pahlu gudgudaya bharin chuTkiyan bhi
jhuma jhaTki kar ke dikhane lage zor baadal
dil mein dukh aankhon mein nami aasman par ghaTaen
andar bahar is or us or har or baadal
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.