sawan aaya tum na aae din bite
sāvan aayā tum na aa.e din biite
ham ne nainoñ diip jalā.e din biite
amvā kī chhāñv meñ baiThe yug biitā
tum ko dil kī baat sunā.e din biite
bādal panchhī aur pardes hai ek samān
nadiyā tū kyoñ niir bahā.e din biite
jaane kab sūraj niklā kab rain huī
ham to kuchh bhī jaan na paa.e din biite
hoñToñ par muskān magar dil meñ agnī
āñkhoñ meñ sāvan lahrā.e din biite
haar to apne bhaag kī rekhā dukh kaisā
jiit ke tum bhī jiit na paa.e din biite
sāñsoñ meñ kab phuul khile kuchh yaad nahīñ
adhroñ se amrit chhalkā.e din biite
jiinā to mushkil thā lekin sach ye hai
jiit ke tum bhī jiit na paa.e din biite
ujle kaale pañkh pasāre yug yug se
ek parinda hameñ uḌaa.e din biite
sawan aaya tum na aae din bite
hum ne nainon dip jalae din bite
amwa ki chhanw mein baiThe yug bita
tum ko dil ki baat sunae din bite
baadal panchhi aur pardes hai ek saman
nadiya tu kyon nir bahae din bite
jaane kab suraj nikla kab rain hui
hum to kuchh bhi jaan na pae din bite
honTon par muskan magar dil mein agni
aankhon mein sawan lahrae din bite
haar to apne bhag ki rekha dukh kaisa
jit ke tum bhi jit na pae din bite
sanson mein kab phul khile kuchh yaad nahin
adhron se amrit chhalkae din bite
jina to mushkil tha lekin sach ye hai
jit ke tum bhi jit na pae din bite
ujle kale pankh pasare yug yug se
ek parinda hamein uDae din bite
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.