sāvan kī bhīgī bhīgī har ik raat bhī ga.ī
dil meñ lagā ke aag ye barsāt bhī ga.ī
ye dūriyāñ to apnā muqaddar hī thiiñ magar
thoḌī bahut jo thī vo mulāqāt bhī ga.ī
āñkhoñ meñ kitne ḳhvāb sañjo.e the raat bhar
armāñ kā ḳhuun kar ke hasīñ raat bhī ga.ī
milte bhī haiñ to jaise ta.alluq hī kuchh na ho
ab to vo rasm-e-pursish-e-hālāt bhī ga.ī
ab ai 'nazar' hai hadd-e-nazar tak ġhubār-e-rāh
vo kārvān-e-zīst kī bārāt bhī ga.ī
sawan ki bhigi bhigi har ek raat bhi gai
dil mein laga ke aag ye barsat bhi gai
ye duriyan to apna muqaddar hi thin magar
thoDi bahut jo thi wo mulaqat bhi gai
aankhon mein kitne KHwab sanjoe the raat bhar
arman ka KHun kar ke hasin raat bhi gai
milte bhi hain to jaise talluq hi kuchh na ho
ab to wo rasm-e-pursish-e-haalat bhi gai
ab ai 'nazar' hai hadd-e-nazar tak ghubar-e-rah
wo karwan-e-zist ki baraat bhi gai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.