saya nahin hai sar pe koi aasman nahin
saaya nahīñ hai sar pe koī āsmāñ nahīñ
apne liye zamīñ pe bhī koī makāñ nahīñ
andar se ham alaav haiñ zaḳhmoñ kā dard kā
bāhar dikhā.ī detā kisī ko dhuāñ nahīñ
ḳhāmosh fitratan haiñ ki kuchh bolte nahīñ
yāroñ ne samjhā muñh meñ hamāre zabāñ nahīñ
ai vaqt tere makr se vāqif to haiñ sabhī
lekin mirī vafā pe kisī ko gumāñ nahīñ
mash.hūr apne fan meñ hue duur duur tak
'shāġhil' adiib shohra hamārā kahāñ nahīñ
saya nahin hai sar pe koi aasman nahin
apne liye zamin pe bhi koi makan nahin
andar se hum alaw hain zaKHmon ka dard ka
bahar dikhai deta kisi ko dhuan nahin
KHamosh fitratan hain ki kuchh bolte nahin
yaron ne samjha munh mein hamare zaban nahin
ai waqt tere makr se waqif to hain sabhi
lekin meri wafa pe kisi ko guman nahin
mashhur apne fan mein hue dur dur tak
'shaghil' adib shohra hamara kahan nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.