saya paDte hi zamin ka mah par
saaya paḌte hī zamīñ kā maah par
chal paḌe sab dahriyat kī raah par
bārhā us ko kiyā āgāh par
dil kisī sūrat na aayā raah par
ye bhī dekhā hai hamārī nasl ne
kaT ga.e sar kitne ik afvāh par
haiñ jo asrār-e-zamīñ se nā-balad
tabsira karte haiñ mehr-o-māh par
reza reza ho gayā rishtoñ kā pul
jo Tikā thā sirf rasm-o-rāh par
ham suḳhan-dānoñ ko māl-o-zar se kyā
ham to bak jaate haiñ sirf ik vaah par
ik ishāra to zarā karte kabhī
jaan de dete tumhārī chaah par
jītnī baazī hai jo shatranj kī
rakh nigāheñ har ghaḌī tū shaah par
kyoñ kisī ke aage phailā.ūñ maiñ haath
merā īmāñ hai mire allāh par
kaan koī kyoñ nahīñ dhartā yahāñ
'shād' is dil se nikaltī aah par
saya paDte hi zamin ka mah par
chal paDe sab dahriyat ki rah par
barha us ko kiya aagah par
dil kisi surat na aaya rah par
ye bhi dekha hai hamari nasl ne
kaT gae sar kitne ek afwah par
hain jo asrar-e-zamin se na-balad
tabsira karte hain mehr-o-mah par
reza reza ho gaya rishton ka pul
jo Tika tha sirf rasm-o-rah par
hum suKHan-danon ko mal-o-zar se kya
hum to bak jate hain sirf ek wah par
ek ishaara to zara karte kabhi
jaan de dete tumhaari chah par
jitni bazi hai jo shatranj ki
rakh nigahen har ghaDi tu shah par
kyon kisi ke aage phailaun main hath
mera iman hai mere allah par
kan koi kyon nahin dharta yahan
'shad' is dil se nikalti aah par
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.