saya sa ek KHayal ki pahnaiyon mein tha
saaya sā ik ḳhayāl kī pahnā.iyoñ meñ thā
sāthī koī to raat kī tanhā.iyoñ meñ thā
har zaḳhm mere jism kā merā gavāh hai
maiñ bhī sharīk apne tamāshā.iyoñ meñ thā
ġhairoñ kī tohmatoñ kā havāla bajā magar
merā bhī haath kuchh mirī rusvā.iyoñ meñ thā
TuuTe hue badan pe lakīroñ ke jaal the
qarnoñ kā aks umr kī parchhā.iyoñ meñ thā
girdāb-e-ġham se kaun kisī ko nikāltā
har shaḳhs ġharq apnī hī gahrā.iyoñ meñ thā
naġhmoñ kī lai se aag sī dil meñ utar ga.ī
sur ruḳhsatī ke soz kā shahnā.iyoñ meñ thā
'rāsiḳh' tamām gaañv ke sūkhe paḌe the khet
bārish kā zor shahr kī añgnā.iyoñ meñ thā
saya sa ek KHayal ki pahnaiyon mein tha
sathi koi to raat ki tanhaiyon mein tha
har zaKHm mere jism ka mera gawah hai
main bhi sharik apne tamashaiyon mein tha
ghairon ki tohmaton ka hawala baja magar
mera bhi hath kuchh meri ruswaiyon mein tha
TuTe hue badan pe lakiron ke jal the
qarnon ka aks umr ki parchhaiyon mein tha
girdab-e-gham se kaun kisi ko nikalta
har shaKHs gharq apni hi gahraiyon mein tha
naghmon ki lai se aag si dil mein utar gai
sur ruKHsati ke soz ka shahnaiyon mein tha
'rasiKH' tamam ganw ke sukhe paDe the khet
barish ka zor shahr ki angnaiyon mein tha
- Book : Pakistani Adab (Pg. 466)
- Author : Dr. Rashid Amjad
- Publication : Pakistan Academy of Letters, Islambad, Pakistan (2009)
- Edition : 2009
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.