saya deta nahin shajar mera
saayā detā nahīñ shajar merā
mujh pe khultā nahīñ hunar merā
huuñ safar meñ ka.ī zamānoñ se
rāsta dekhtā hai ghar merā
kuchh huā hai mire darīchoñ meñ
ik parinda hai shāḳh par merā
bārishoñ ke qarīb rahtā hai
is liye sabz hai shajar merā
saya deta nahin shajar mera
mujh pe khulta nahin hunar mera
hun safar mein kai zamanon se
rasta dekhta hai ghar mera
kuchh hua hai mere darichon mein
ek parinda hai shaKH par mera
barishon ke qarib rahta hai
is liye sabz hai shajar mera
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.