saya thak ke niDhaal hota hai
saayā thak ke niDhāl hotā hai
aisā kuchh merā haal hotā hai
tere bin jī ke dekhā ye ham ne
jiinā sach meñ muhāl hotā hai
ham calendar hī bas badalte haiñ
jab nayā dost saal hotā hai
roz marte haiñ ḳhvāb-o-armāñ mire
roz hī intiqāl hotā hai
miltī hai baat bhī nahīñ hotī
yuuñ hamārā visāl hotā hai
yaad us kī mujhe nahīñ aatī
dil meñ aksar malāl hotā hai
saath apne maiñ rah nahīñ saktā
merā ḳhud se vabāl hotā hai
saya thak ke niDhaal hota hai
aisa kuchh mera haal hota hai
tere bin ji ke dekha ye hum ne
jina sach mein muhaal hota hai
hum calendar hi bas badalte hain
jab naya dost sal hota hai
roz marte hain KHwab-o-arman mere
roz hi intiqal hota hai
milti hai baat bhi nahin hoti
yun hamara visal hota hai
yaad us ki mujhe nahin aati
dil mein aksar malal hota hai
sath apne main rah nahin sakta
mera KHud se wabaal hota hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.