saz-e-dil par gungunane ka zamana aa gaya
sāz-e-dil par gungunāne kā zamāna aa gayā
aa gayā piine pilāne kā zamāna aa gayā
pai-ba-pai sāġhar lunḌhāne kā zamāna aa gayā
har qadam par laḌkhaḌāne kā zamāna aa gayā
phir kisī kī yaad dil meñ chuTkiyāñ lene lagī
phir taḌapne tilmilāne kā zamāna aa gayā
phir kisī ke āstāñ par le chalā zauq-e-sujūd
har qadam par sar jhukāne kā zamāna aa gayā
miT gayā shauq-e-talab meñ sar-basar ehsās-e-ġham
mushkiloñ par muskurāne kā zamāna aa gayā
hai pas-e-parda jamāl-e-dil-nashīñ jalva-fagan
dīda-o-dil āzmāne kā zamāna aa gayā
mil ga.ī arz-e-tamannā kī ijāzat mil ga.ī
harf-e-matlab bhuul jaane kā zamāna aa gayā
saz-e-dil par gungunane ka zamana aa gaya
aa gaya pine pilane ka zamana aa gaya
pai-ba-pai saghar lunDhane ka zamana aa gaya
har qadam par laDkhaDane ka zamana aa gaya
phir kisi ki yaad dil mein chuTkiyan lene lagi
phir taDapne tilmilane ka zamana aa gaya
phir kisi ke aastan par le chala zauq-e-sujud
har qadam par sar jhukane ka zamana aa gaya
miT gaya shauq-e-talab mein sar-basar ehsas-e-gham
mushkilon par muskurane ka zamana aa gaya
hai pas-e-parda jamal-e-dil-nashin jalwa-fagan
dida-o-dil aazmane ka zamana aa gaya
mil gai arz-e-tamanna ki ijazat mil gai
harf-e-matlab bhul jaane ka zamana aa gaya
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.