saz-e-dil tishna-e-mizrab-e-tamanna na raha
sāz-e-dil tishna-e-mizrāb-e-tamannā na rahā
dīda-e-shauq tamāshā hai tamāshā na rahā
dil rahā dil meñ magar josh-e-tamannā na rahā
anjuman rah ga.ī aur anjuman-ārā na rahā
hai vahī tuur vahī barq vahī shān-e-jamāl
haañ koī aag se ab khelne vaalā na rahā
dāman-e-mauj bhī hāthoñ se chhuTā jaatā hai
Dūbne vaale ko tinke kā sahārā na rahā
aaj vo sar tire qadmoñ pe jhukā jaatā hai
jo haram meñ bhī kabhī nāsiya-farsā na rahā
yak-ba-yak yuuñ na sar-e-bazm uThānī thī naqāb
jalve betāb haiñ aur dekhne vaalā na rahā
rah ga.ī aañkh bhī kuchh ashk bahā kar ḳhāmosh
ya.anī dil qābil-e-iz.hār-e-tamannā na rahā
dil kahīñ thā kahīñ nazreñ thiiñ ḳhayālāt kahīñ
maiñ rahā bazm meñ is tarah ki goyā na rahā
muzhda-e-vasl sunā kar bhī use dekh liyā
tirā dīvāna har ik haal meñ dīvāna rahā
yuuñ to har ek se kahte the fasāna dil kā
us ne jab pūchhā to phir kahne kā yaarā na rahā
phir bhī kuchh dil ko tasallī sī to hotī hai 'munīr'
go kabhī muntazir-e-va.ada-e-fardā na rahā
saz-e-dil tishna-e-mizrab-e-tamanna na raha
dida-e-shauq tamasha hai tamasha na raha
dil raha dil mein magar josh-e-tamanna na raha
anjuman rah gai aur anjuman-ara na raha
hai wahi tur wahi barq wahi shan-e-jamal
han koi aag se ab khelne wala na raha
daman-e-mauj bhi hathon se chhuTa jata hai
Dubne wale ko tinke ka sahaara na raha
aaj wo sar tere qadmon pe jhuka jata hai
jo haram mein bhi kabhi nasiya-farsa na raha
yak-ba-yak yun na sar-e-bazm uThani thi naqab
jalwe betab hain aur dekhne wala na raha
rah gai aankh bhi kuchh ashk baha kar KHamosh
yani dil qabil-e-izhaar-e-tamanna na raha
dil kahin tha kahin nazren thin KHayalat kahin
main raha bazm mein is tarah ki goya na raha
muzhda-e-wasl suna kar bhi use dekh liya
tera diwana har ek haal mein diwana raha
yun to har ek se kahte the fasana dil ka
us ne jab puchha to phir kahne ka yara na raha
phir bhi kuchh dil ko tasalli si to hoti hai 'munir'
go kabhi muntazir-e-wada-e-farda na raha
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.