Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz-e-hasti chheD kar ye kaun pinhan ho gaya

Sahba lakhnavi

saz-e-hasti chheD kar ye kaun pinhan ho gaya

Sahba lakhnavi

MORE BYSahba lakhnavi

    sāz-e-hastī chheḌ kar ye kaun pinhāñ ho gayā

    aaj tak duniyā-e-dil firdaus-zār-e-naġhma hai

    de rahī hai jumbish-e-lab dāvat-e-lutf-o-karam

    ek halkā tabassum parda-dār-e-naġhma hai

    laḌ ga.ī thiiñ raat nazreñ chashm-e-sāqī se mirī

    dekhtā huuñ jis ko sairāb-e-ḳhumār-e-naġhma hai

    ḳhum kahīñ sāġhar kahīñ mutrib kahīñ 'sahbā' kahīñ

    kaun hai jo mā.il-e-be-parda-dār-e-naġhma hai

    saz-e-hasti chheD kar ye kaun pinhan ho gaya

    aaj tak duniya-e-dil firdaus-zar-e-naghma hai

    de rahi hai jumbish-e-lab dawat-e-lutf-o-karam

    ek halka sa tabassum parda-dar-e-naghma hai

    laD gai thin raat nazren chashm-e-saqi se meri

    dekhta hun jis ko sairab-e-KHumar-e-naghma hai

    KHum kahin saghar kahin mutrib kahin 'sahba' kahin

    kaun hai jo mail-e-be-parda-dar-e-naghma hai

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 13-14-15 December 2024 - Jawaharlal Nehru Stadium , Gate No. 1, New Delhi

    Get Tickets
    Speak Now