saz-e-hasti ki sada arsh-e-barin tak pahunche
saz-e-hasti ki sada arsh-e-barin tak pahunche
Syed Aabid Ali Aabid
MORE BYSyed Aabid Ali Aabid
sāz-e-hastī kī sadā arsh-e-barīñ tak pahuñche
ai ḳhushā jins-e-amānat ki amiiñ tak pahuñche
haa.e vo shān-e-taġhāful ki hai mujh se maḳhsūs
haa.e vo arz-e-tamannā ki tumhīñ tak pahuñche
manzileñ aur bhī thiiñ manzil-e-jānāñ ke sivā
ham ba-mahrūmī-e-taqdīr vahīñ tak pahuñche
haath meñ mash.al-e-ḳhurshīd jilau meñ taare
kis takalluf se ham us māh-jabīñ tak pahuñche
ai ḳhudā vahm-e-ġhalat-kār ko de izn-e-junūñ
ki ḳhirad marhala-e-zauq-e-yaqīñ tak pahuñche
apnī uftād kī rūdād ye hai ahl-e-nazar
sū-e-aflāk ravāñ the ki zamīñ tak pahuñche
ham ḳharābāt-nashīnoñ kā vo aalī hai maqām
ki jo kam-zarf rahe taḳht-o-nagīñ tak pahuñche
pahle firdaus kī mahfil se nikāle ga.e ham
phir tirī mahfil-e-firdaus-e-qarīñ tak pahuñche
daulat-e-dīñ pe bahut naaz hai mujh ko 'ābid'
kaash ye baat kisī dushman-e-dīñ tak pahuñche
saz-e-hasti ki sada arsh-e-barin tak pahunche
ai KHusha jins-e-amanat ki amin tak pahunche
hae wo shan-e-taghaful ki hai mujh se maKHsus
hae wo arz-e-tamanna ki tumhin tak pahunche
manzilen aur bhi thin manzil-e-jaanan ke siwa
hum ba-mahrumi-e-taqdir wahin tak pahunche
hath mein mashal-e-KHurshid jilau mein tare
kis takalluf se hum us mah-jabin tak pahunche
ai KHuda wahm-e-ghalat-kar ko de izn-e-junun
ki KHirad marhala-e-zauq-e-yaqin tak pahunche
apni uftad ki rudad ye hai ahl-e-nazar
su-e-aflak rawan the ki zamin tak pahunche
hum KHarabaat-nashinon ka wo aali hai maqam
ki jo kam-zarf rahe taKHt-o-nagin tak pahunche
pahle firdaus ki mahfil se nikale gae hum
phir teri mahfil-e-firdaus-e-qarin tak pahunche
daulat-e-din pe bahut naz hai mujh ko 'abid'
kash ye baat kisi dushman-e-din tak pahunche
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.