saz-e-hasti mein kuchh sada hi nahin
sāz-e-hastī meñ kuchh sadā hī nahīñ
ek mahshar hai jo bapā hī nahīñ
kis qadar hai gadāgaroñ kā hujūm
tere kūche meñ rāstā hī nahīñ
rahbarī kā unheñ bhī saudā hai
raah meñ jin kā naqsh-e-pā hī nahīñ
keh rahā huuñ zabāñ na khulvāo
baat ke zaḳhm kī davā hī nahīñ
jo hañsā vo hañsā gayā 'vāmiq'
ye maqaula ġhalat huā hī nahīñ
saz-e-hasti mein kuchh sada hi nahin
ek mahshar hai jo bapa hi nahin
kis qadar hai gadagaron ka hujum
tere kuche mein rasta hi nahin
rahbari ka unhen bhi sauda hai
rah mein jin ka naqsh-e-pa hi nahin
keh raha hun zaban na khulwao
baat ke zaKHm ki dawa hi nahin
jo hansa wo hansa gaya 'wamiq'
ye maqaula ghalat hua hi nahin
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.