saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh
sāz-e-umīd chheḌ kar tāroñ kī thartharī na dekh
rāz-e-shikastagī samajh rañg-e-shikastagī na dekh
ḳhanda-e-be-zarar kahāñ ġhuncha-o-gul se dars le
fitrat-e-zindagī pe jā ishrat-e-zindagī na dekh
hogī fazā-e-āshiyāñ soz-e-chaman se sāzgār
barq-gudāz ban ke jī barq kī barhamī na dekh
sūd-o-ziyāñ ke marhale bach agar in se bach sake
apne se kuchh kamī na kar aur koī kamī na dekh
chāñd hai terā ham-safar koī nahīñ hai rāhbar
aage qadam baḌhā ke rakh duur kī raushnī na dekh
tū hī agar subuk na ho tere sivā hai mā-sivā
apnī farotanī nibāh ġhair kī bartarī na dekh
kuchh bhī nahīñ ye ūñch-nīch dāman-e-e'tibār khīñch
izzat-e-ādmī ko taul qīmat-e-ādmī na dekh
apne maqām par sañbhal chal to yagāna-vār chal
daulat-e-dostī sameT jānib-e-dushmanī na dekh
aql kī manzilat ke saath aql kī manzileñ bhī haiñ
ilm kī ismateñ bachā jahl kī abtarī na dekh
apne nizām se ulajh sub.h se shaam se ulajh
āfat-e-be-zarī ko jaan la.anat be-zarī na dekh
tū ne magar 'shahāb' ke sher sune bhī hoñ kabhī
azmat-e-shā.irī ko le shohrat-e-shā.irī na dekh
saz-e-umid chheD kar taron ki tharthari na dekh
raaz-e-shikastagi samajh rang-e-shikastagi na dekh
KHanda-e-be-zarar kahan ghuncha-o-gul se dars le
fitrat-e-zindagi pe ja ishrat-e-zindagi na dekh
hogi faza-e-ashiyan soz-e-chaman se sazgar
barq-gudaz ban ke ji barq ki barhami na dekh
sud-o-ziyan ke marhale bach agar in se bach sake
apne se kuchh kami na kar aur koi kami na dekh
chand hai tera ham-safar koi nahin hai rahbar
aage qadam baDha ke rakh dur ki raushni na dekh
tu hi agar subuk na ho tere siwa hai ma-siwa
apni farotani nibah ghair ki bartari na dekh
kuchh bhi nahin ye unch-nich daman-e-e'tibar khinch
izzat-e-admi ko taul qimat-e-admi na dekh
apne maqam par sanbhal chal to yagana-war chal
daulat-e-dosti sameT jaanib-e-dushmani na dekh
aql ki manzilat ke sath aql ki manzilen bhi hain
ilm ki ismaten bacha jahl ki abtari na dekh
apne nizam se ulajh subh se sham se ulajh
aafat-e-be-zari ko jaan lanat be-zari na dekh
tu ne magar 'shahab' ke sher sune bhi hon kabhi
azmat-e-shairi ko le shohrat-e-shairi na dekh
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.