Font by Mehr Nastaliq Web

aaj ik aur baras biit gayā us ke baġhair

jis ke hote hue hote the zamāne mere

CANCEL DOWNLOAD SHER

saz hathon mein uThao to ghazal pesh karun

Tarun Bhardwaj

saz hathon mein uThao to ghazal pesh karun

Tarun Bhardwaj

MORE BYTarun Bhardwaj

    saaz hāthoñ meñ uThāo to ġhazal pesh karūñ

    tum nazar mujh se milāo to ġhazal pesh karūñ

    ye hai paiġhām-e-mohabbat ise chhup kar na suno

    tum mire sāmne aao to ġhazal pesh karūñ

    duur duur jalāo na mohabbat ke charāġh

    raushnī ban ke tum aao to ġhazal pesh karūñ

    tanhā tanhā nazar aatī hai duniyā merī

    tum mire paas jo aao to ġhazal pesh karūñ

    bārhā tum ne satāyā hai mujhe raat aur din

    mujh ko itnā na satāo to ġhazal pesh karūñ

    ham haiñ vo ishq ke panchhī jo ġhazal kahte haiñ

    tum ġhazal mujh ko sunāo to ġhazal pesh karūñ

    tum ko chāhā hai tah-e-dil se yaqīnan ham ne

    tum mire dil meñ samāo to ġhazal pesh karūñ

    jhūTe va.adoñ se tasallī nahīñ miltī hai 'tarun'

    sachchā ā.īna dikhāo to ġhazal pesh karūñ

    saz hathon mein uThao to ghazal pesh karun

    tum nazar mujh se milao to ghazal pesh karun

    ye hai paigham-e-mohabbat ise chhup kar na suno

    tum mere samne aao to ghazal pesh karun

    dur hi dur jalao na mohabbat ke charagh

    raushni ban ke tum aao to ghazal pesh karun

    tanha tanha si nazar aati hai duniya meri

    tum mere pas jo aao to ghazal pesh karun

    barha tum ne sataya hai mujhe raat aur din

    mujh ko itna na satao to ghazal pesh karun

    hum hain wo ishq ke panchhi jo ghazal kahte hain

    tum ghazal mujh ko sunao to ghazal pesh karun

    tum ko chaha hai tah-e-dil se yaqinan hum ne

    tum mere dil mein samao to ghazal pesh karun

    jhuTe wadon se tasalli nahin milti hai 'tarun'

    sachcha aaina dikhao to ghazal pesh karun

    0
    COMMENTS
    VIEW COMMENTS VIEW COMMENTS

    Additional information available

    Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.

    OKAY

    About this sher

    Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.

    Close

    rare Unpublished content

    This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.

    OKAY

    Jashn-e-Rekhta | 8-9-10 December 2023 - Major Dhyan Chand National Stadium, Near India Gate - New Delhi

    GET YOUR PASS
    Speak Now