saz rota hai chiKH gati hai
saaz rotā hai chīḳh gaatī hai
merā naġhma tasavvurātī hai
ek andhe se ġhusl-ḳhāne meñ
chāñdnī dhuup se nahātī hai
sun ke ta.abīr ke ḳharāToñ ko
ḳhvāb kī niiñd TuuT jaatī hai
hijr ko god meñ liTā kar shab
vasl kī loriyāñ sunātī hai
merā lahja hai misl-e-saudā.ī
aur andāz nafsiyātī hai
sīḌhiyāñ chaḌhte chaḌhte jīvan kī
saañs kī saañs phuul jaatī hai
vādī-e-gul kī shāhzādī ab
ḳhuun ke lothaḌe uThātī hai
shā.irī ret kī salā.ī se
pāniyoñ meñ girah lagātī hai
saz rota hai chiKH gati hai
mera naghma tasawwuraati hai
ek andhe se ghusl-KHane mein
chandni dhup se nahati hai
sun ke tabir ke KHaraTon ko
KHwab ki nind TuT jati hai
hijr ko god mein liTa kar shab
wasl ki loriyan sunati hai
mera lahja hai misl-e-saudai
aur andaz nafsiyati hai
siDhiyan chaDhte chaDhte jiwan ki
sans ki sans phul jati hai
wadi-e-gul ki shahzadi ab
KHun ke lothaDe uThati hai
shairi ret ki salai se
paniyon mein girah lagati hai
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.