sab alag apni kahani lae
sab alag apnī kahānī laa.e
dil meñ ġham aañkh meñ paanī laa.e
ham bhī kyā laa.e azal se āḳhir
umr laa.e bhī to faanī laa.e
hosh har shai ko za.īfī baḳhshe
josh har shai pe javānī laa.e
kyoñ dukhā.e kisī insān kā dil
kyoñ koī talḳh-bayānī laa.e
qadr duniyā ne na jaanī un kī
jo yahāñ dil kī nishānī laa.e
baat vo jis ko zamāna samjhe
lafz vo jo ki ma.ānī laa.e
aadmī apne alāva har shai
bech legā jo purānī laa.e
sab alag apni kahani lae
dil mein gham aankh mein pani lae
hum bhi kya lae azal se aaKHir
umr lae bhi to fani lae
hosh har shai ko zaifi baKHshe
josh har shai pe jawani lae
kyon dukhae kisi insan ka dil
kyon koi talKH-bayani lae
qadr duniya ne na jaani un ki
jo yahan dil ki nishani lae
baat wo jis ko zamana samjhe
lafz wo jo ki maani lae
aadmi apne alawa har shai
bech lega jo purani lae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.