sab apne apne KHudaon mein ja ke baiTh gae
sab apne apne ḳhudāoñ meñ jā ke baiTh ga.e
so ham bhī ḳhauf kī chādar bichhā ke baiTh ga.e
mujhe is aag kī tafsīl meñ nahīñ jaanā
jinheñ banānī thiiñ ḳhabreñ banā ke baiTh ga.e
kabūtaroñ meñ ye dahshat kahāñ se dar aa.ī
ki masjidoñ se bhī kuchh duur jā ke baiTh ga.e
hamārā qahr hamārī hī jaan par TuuTā
tamām ḳhaak badan kī uḌā ke baiTh ga.e
kal āftāb ko is tarah Dūbte dekhā
ham apne jalte diyoñ ko bujhā ke baiTh ga.e
yahāñ bhī jhāñktī rahtī thiiñ shak-bharī nazreñ
so ham bhī ruuh pe qashqa lagā ke baiTh ga.e
sab apne apne KHudaon mein ja ke baiTh gae
so hum bhi KHauf ki chadar bichha ke baiTh gae
mujhe is aag ki tafsil mein nahin jaana
jinhen banani thin KHabren bana ke baiTh gae
kabutaron mein ye dahshat kahan se dar aai
ki masjidon se bhi kuchh dur ja ke baiTh gae
hamara qahr hamari hi jaan par TuTa
tamam KHak badan ki uDa ke baiTh gae
kal aaftab ko is tarah Dubte dekha
hum apne jalte diyon ko bujha ke baiTh gae
yahan bhi jhankti rahti thin shak-bhari nazren
so hum bhi ruh pe qashqa laga ke baiTh gae
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.