sab apni qabr mein murda paDe hain
sab apnī qabr meñ murda paḌe haiñ
dar-o-dīvār par katbe jaḌe haiñ
dhuāñ phailā huā hai rāstoñ par
ham apnī saañs ko roke khaḌe haiñ
ujāloñ ko nazar meñ qaid kar lo
diye tahzīb ke bujhne lage haiñ
gharoñ meñ amn kā māhaul rakhnā
ki bachche kachchī miTTī ke ghaḌe haiñ
nazar aate nahīñ 'jāved' chehre
yahāñ to qad se ā.īne baḌe haiñ
sab apni qabr mein murda paDe hain
dar-o-diwar par katbe jaDe hain
dhuan phaila hua hai raston par
hum apni sans ko roke khaDe hain
ujalon ko nazar mein qaid kar lo
diye tahzib ke bujhne lage hain
gharon mein amn ka mahaul rakhna
ki bachche kachchi miTTi ke ghaDe hain
nazar aate nahin 'jawed' chehre
yahan to qad se aaine baDe hain
Additional information available
Click on the INTERESTING button to view additional information associated with this sher.
About this sher
Lorem ipsum dolor sit amet, consectetur adipiscing elit. Morbi volutpat porttitor tortor, varius dignissim.
rare Unpublished content
This ghazal contains ashaar not published in the public domain. These are marked by a red line on the left.